aisa nahin salam kiya aur guzar gae 
jab bhi mile kisi se to dil mein utar gae 
zulm-o-sitam ke aage kabhi jo jhuke nahin 
un ke nasib un ke muqaddar sanwar gae 
kirdar bech dene ka anjam ye hua 
dil mein utarne wale nazar se utar gae 
kuchh kaifiyat ajib rahi apni dosto 
ki dosti kisi se to had se guzar gae 
bachchon ki bhuk man ki dawa aur hath tang 
ye marhale bhi hum ko gunahgar kar gae 
kuchh zindagi to mujh se masail ne chhin li 
jo bach gai thi hadse barbaad kar gae 
'sahil' jab un ko koi Thikana nahin mila 
gham un ke sare mere hi dil mein Thahar gae
        Ghazal
Aisa nahin salam kiya aur guzar gae
Mohammad Ali Sahil

