aisa nahin koi ki shanasa kahen jise
milta kahan hai koi hum apna kahen jise
ek markaz-e-KHayal hai duniya kahen jise
koi nazar to aae ki tum sa kahen jise
saya bhi bhagta hai jahan apni zat se
wo hai sarab dasht-e-tamanna kahen jise
zulf-e-daraaz ban ke ulajhti rahi mudam
ek tar-e-ankabut hai duniya kahin jise
'mahir' wahi na kahte hain sab jis ko aadmi
hain KHubiyan hi kya ki hum achchha kahen jise
Ghazal
Aisa nahin koi ki shanasa kahen jise
Mahir Aarwi