aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi
zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed
wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
sar mein wo intizar ka sauda nahin raha
dil par wo dhaDkanon ki hukumat nahin rahi
kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya
jalwon se chheD-chhaD ki aadat nahin rahi
hathon se intiqam liya irtiash ne
daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi
paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae
pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi
chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya
aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi
allah jaane maut kahan mar gai 'KHumar'
ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
Ghazal
Aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi
Khumar Barabankavi