aisa nahin ki un se mohabbat nahin mujhe
ifsha-e-raaz-e-ishq ki jurat nahin mujhe
jalwe hain un ke nau-ba-nau meri nigah mein
ab un ko gham ye hai gham-e-furqat nahin mujhe
rakhna hai un ke panw pe ja kar sar-e-niyaz
ruk ja ajal kya itni bhi mohlat nahin mujhe
shoridgi-e-ishq kahan le ke aa gai
phulon se bhi jahan koi raghbat nahin mujhe
hoti hai un se pahron tasawwur mein guftugu
sochun kuchh aur itni bhi fursat nahin mujhe
ruswa jahan mein kar diya us jazb-e-shauq ne
maqsud warna ishq mein shohrat nahin mujhe
is darja jhuT sunta raha hun tamam umr
sunne ki sach bhi ab koi aadat nahin mujhe
ab un se haal-e-dil main bayan 'soz' kya karun
apni zaban par bhi to qudrat nahin mujhe

Ghazal
Aisa nahin ki un se mohabbat nahin mujhe
Sardar Soz