aisa manzar to kabhi dekha na tha
raushni mein bhi mera saya na tha
pyar ke baadal to guzre the magar
dil ke sahra mein koi barsa na tha
umr-bhar paDhta raha aisa bhi KHat
tu ne mere nam jo likkha na tha
jism ki diwar ek thi darmiyan
main ne pa kar bhi tujhe paya na tha
yun to shabnam tha magar ai dosto
main kisi bhi phul par bikhra na tha
maut sine se laga lene ko hai
zindagi ne haal tak puchha na tha
ek hujum-e-mah-washan tha bazm mein
bas wahi ek chand ka TukDa na tha
Ghazal
Aisa manzar to kabhi dekha na tha
Afsar Jamshed