aisa lagta hai kisi gumbad se Takrai na thi
warna kab aawaz meri lauT kar aai na thi
tha teri qurbat ki aankhon mein har ek nashsha magar
nind se jagi hui yaadon ki angDai na thi
hum ko andha kar gai thi ek gahri raushni
zulmaton ki zad mein aa kar aankh pathrai na thi
qaid tha kyun chand sadiyon se hisar-e-abr mein
kyun ujalon ne use poshak pahnai na thi
jal gaya apne hi andar ki hararat se badan
surajon ne hum pe koi aag barsai na thi
tere sine mein tera KHun barf kaise ho gaya
kya tere andar hararat ki tawanai na thi
Ghazal
Aisa lagta hai kisi gumbad se Takrai na thi
Suraj Narayan