aisa kar sakte the kya koi guman tum aur main
aise tanha nazar aaenge yahan tum aur main
bazm aarasta hogi to numayan honge
kisi tanhai mein shayad hain nihan tum aur main
rahguzar KHatm hui jati hai aage ja kar
chhoD aae hain kahan apna nishan tum aur main
jhilmilati hai kahin par kisi imkan ki lau
usi imkan ki jaanib nigaran tum aur main
be-hisi shart hi Thahri thi rifaqat mein agar
kis liye karte rahe jaan ka ziyan tum aur mein
ek inkar ki KHwahish ko chhupae dil mein
gird-e-iqrar mein baiThe hain miyan tum aur main
ab thakan jism mein utri hai to aata hai KHayal
kin hawaon mein rahe raqs-kunan tum aur main
main ne puchha ki koi dil-zadagan ki hai misal
kis tawaqquf se kaha us ne ki han tum aur main
kis ki aawaz taaqub mein chali aai 'razi'
is se pahle bhi to aae the yahan tum aur main
Ghazal
Aisa kar sakte the kya koi guman tum aur main
Khwaja Razi Haidar