aisa kahan hubab koi chashm-e-tar ki hum
lab KHushk ye muhit hai kab is qadar ki hum
aisa nahin gharib koi ghar-ba-ghar ki hum
aisa nahin KHarab koi dar-ba-dar ki hum
mudam hi mushabbak-e-mizhgan-e-yar hai
lekin na is qadar rahe KHasta-jigar ki hum
go aaj hum hain be-sar-o-pa dekhiye ki kal
ye rah-e-pul-siraat kare shaiKH sar ki hum
hum bahste hain chaak-e-gareban pe tere sath
aur dekhiye ki hum se rahe tu sahar ki hum
rote adam se aae the rote hi jaenge
aisa nahin azal se koi nauhagar ki hum
duniya ki nek o bad se mujhe kuchh KHabar nahin
itna nahin jahan main koi be-KHabar ki hum
puchha main us se kaun hai qatil mera bata
kahne laga pakaD ke wo tegh o sipar ki hum
diwan hamara ghaur se 'taban' tu dekh to
rakhta hai kab muhit ye ganj-e-guhar ki hum
Ghazal
Aisa kahan hubab koi chashm-e-tar ki hum
Taban Abdul Hai