aisa jina bhi kya hai mar mar ke
wo jahan bhi rahe rahe Dar ke
ab kisi tarah dil nahin lagta
ghar mein sab kuchh to hai siwa ghar ke
sans ka bojh ab nahin uThta
jism KHali hai dhaD bina sar ke
us ko jaane ki kitni jaldi thi
baat sari kahi pa kam kar ke
jalwa dekha lahu ka us ne jab
hosh hi uD gae the KHanjar ke
ret-o-sahil mein sulh phir na hui
thak gai mauj iltija kar ke
zaKHm kuchh is tarah se hanste hain
ashk bahne lage hain nashtar ke
ras aaya gham-e-shanasai
war pahchan ke the KHanjar ke
us ko naraaz hona aata hai?
wari jaun main aise tewar ke
Ghazal
Aisa jina bhi kya hai mar mar ke
Puja Bhatia