aisa hua nahin hai par aisa na ho kahin
us ne mujhe na dekh ke dekha na ho kahin
qadmon ki chap der se aati hai kan mein
koi mere KHayal mein phirta na ho kahin
sanki hui hawaon mein KHushbu ki aanch hai
patton mein koi phul dahakta na ho kahin
ye kaun jhankta hai kiwaDon ki oT se
batti bujha ke dekh sawera na ho kahin
'alwi' KHuda ke waste ghar mein paDe raho
bahar na jao phir koi jhagDa na ho kahin
Ghazal
Aisa hua nahin hai par aisa na ho kahin
Mohammad Alvi