اردو हिंदी
Aisa hai kaun jo mujhe haq tak rasai de | Shaahi Shayari
aisa hai kaun jo mujhe haq tak rasai de

Ghazal

Aisa hai kaun jo mujhe haq tak rasai de

Zebunnisaa Zaibii

;

aisa hai kaun jo mujhe haq tak rasai de
dekhun jise bhi KHauf-zada sa dikhai de

apne hain shahr bhar mein paraya koi nahin
phir bhi hamara dil hai jo tanha dikhai de

taKHsis koi zalim o mazlum ki nahin
koi duhai de bhi to kis ki duhai de

hamdard hon ghayur hon aur pur-KHulus hon
ai karsaz bahnon ko ab aise bhai de

ye zindagi hai apni kabhi KHush kabhi udas
is kashmakash se mujh ko KHudaya rihai de

'zebi' ajib daur hai ye wahshaton ka daur
saya bhi apna maut ka saya dikhai de