aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho
yaadon jaisi tez hawa ho dard se gahra pani ho
ek sitara raushan ho jo kabhi na bujhne wala ho
rasta jaana-pahchana ho raat bahut an-jaani ho
wo ek pal jo bit gaya us mein hi rahen to achchha hai
kya malum jo pal aae wo fani ho lafani ho
manzar dekhne wala ho par koi na dekhne wala ho
koi na dekhne wala ho aur dur talak hairani ho
ek ajib saman ho jaise sher 'munir'-niyazi ka
ek taraf aabaadi ho aur ek taraf virani ho
Ghazal
Aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho
Akbar Masoom