aisa bhi nahin dard ke mare nahin dekhe
hum ne gul-o-bulbul ke ishaare nahin dekhe
jab main ne kaha marta hun munh pher ke bole
sunte to hain par ishq ke mare nahin dekhe
har samt phire KHak uDaya kiye barson
par naqsh-e-qadam hum ne tumhaare nahin dekhe
poshida hain kis had mein meri KHak ke zarre
patthar mein bhi is tarah ishaare nahin dekhe
turbat mein mere band-e-kafan khol ke bole
hum ne dahan-e-zaKHm tumhaare nahin dekhe
ab qabr pe aae ho to is samt bhi dekho
han nichi nigahon ke ishaare nahin dekhe
bechain hai dil fasl-e-bahaari mein 'hasin' ka
ab tak kisi gul-ru ke ishaare nahin dekhe
Ghazal
Aisa bhi nahin dard ke mare nahin dekhe
Syed Sadiq Ali Haseen