اردو हिंदी
Aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai | Shaahi Shayari
aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai

Ghazal

Aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai

Bekhud Dehlvi

;

aisa bana diya tujhe qudrat KHuda ki hai
kis husn ka hai husn ada kis ada ki hai

chashm-e-siyah-e-yar se sazish haya ki hai
laila ke sath mein ye saheli bala ki hai

taswir kyun dikhaen tumhein nam kyun bataen
lae hain hum kahin se kisi bewafa ki hai

andaz mujh se aur hain dushman se aur Dhang
pahchan mujh ko apni parai qaza ki hai

maghrur kyun hain aap jawani par is qadar
ye mere nam ki hai ye meri dua ki hai

dushman ke ghar se chal ke dikha do juda juda
ye bankpan ki chaal ye naz-o-ada ki hai

rah rah ke le rahi hai mere dil mein chuTkiyan
phisli hui girah tere band-e-qaba ki hai

gardan muDi nigah laDi baat kuchh na ki
shoKHi to KHair aap ki tamkin bala ki hai

hoti hai roz baada-kashon ki dua qubul
ai mohtasib ye shan-e-karimi KHuda ki hai

jitne gile the un ke wo sab dil se dhul gae
jhepi hui nigah talafi jafa ki hai

chhupta hai KHun bhi kahin muTThi to kholiye
rangat yahi hina ki yahi bu hina ki hai

kah do ki be-wazu na chhue us ko mohtasib
botal mein band ruh kisi parsa ki hai

main imtihan de ke unhen kyun na mar gaya
ab ghair se bhi un ko tamanna wafa ki hai

dekho to ja ke hazrat-e-'beKHud' na hun kahin
dawat sharab-KHane mein ek parsa ki hai