aib bhi tere hunar lagte hain
teri furqat ka samar lagte hain
kal jo qadmon mein bichhe jate the
ab wo sae bhi shajar lagte hain
wo uDe phirte hain hairat kya hai
chiyunTiyon ke bhi to par lagte hain
pi gain kitne samundar sadiyan
ab bhi dariya hi amar lagte hain
ek suraj hi to gahnaya hai
log kyun KHak-basar lagte hain
jal raha hai koi gulshan shayad
ashk aankhon mein sharar lagte hain
jam-e-jam the jo mere dost kabhi
hadsa hai ki KHabar lagte hain
hum jahan rahte hain wo dasht wo ghar
dasht lagte hain na ghar lagte hain
bais-e-ranj the ilzam kabhi
ab to ye raKHt-e-safar lagte hain
raste band hain sare 'jauhar'
phir bhi wo rahguzar lagte hain
Ghazal
Aib bhi tere hunar lagte hain
Jauhar meer