ai zulf us ke munh se tu to lipaT rahi hai
gesu ko kaTiyo mat wo aap kaT rahi hai
ho kis tarah mayassar us bahr husn ki sair
abru ki ek kashti so bhi ulaT rahi hai
dil dene ki haqiqat hum KHub jaante hain
hai gham kisi ka us ko jo zulf laT rahi hai
mahrum hum hi hain is mehman-sara mein warna
kis kis tarah ki neamat KHilqat ko baT rahi hai
KHali nahin KHalal se 'joshish' ye KHaibar-e-dil
din raat mauj gham ki is se chimaT rahi hai
Ghazal
Ai zulf uske munh se tu to lipaT rahi hai
Joshish Azimabadi