ai 'zauq' waqt nale ke rakh le jigar pe hath
warna jigar ko roega tu dhar ke sar pe hath
chhoDa na dil mein sabr na aaram ne qarar
teri nigah ne saf kiya ghar ke ghar pe hath
khae hai is maze se gham-e-ishq mera dil
jaise gurisna mare hai halwa-e-tar pe hath
KHat de ke chahta tha zabani bhi kuchh kahe
rakkha magar kisi ne dil-e-nama-bar pe hath
jun panch-shaKHa tu na jala ungliyan tabib
rakh rakh ke nabz-e-ashiq-e-tafta-jigar pe hath
qatil ye kya sitam hai ki uThta nahin kabhi
aa kar mazar-e-kushta-e-tegh-e-nazar pe hath
main na-tawan hun KHak ka parwane ki ghubar
uThta hun rakh ke dosh-e-nasim-e-sahar pe hath
ai shama ek chor hai baadi ye baad-e-subh
mare hai koi dam mein tere taj-e-zar pe hath
ai 'zauq' main to baiTh gaya dil ko tham kar
is naz se khaDe the wo rakh kar kamar pe hath
Ghazal
Ai zauq waqt nale ke rakh le jigar pe hath
Sheikh Ibrahim Zauq