ai zauq arz-e-hunar harf-e-e'tidal mein rakh
main ek jawab hun mujhi ko mere sawal mein rakh
nuqush-e-KHak-e-badan ko tu muntashir kar de
mere wajud ko phir mere KHatt-o-KHal mein rakh
phir us ke baad hunar dekh mojizai ke
tu is badan ko mere dast-e-ittisal mein rakh
tu mujh se mangna phir mere roz-o-shab ka hisab
ai haal haal mere mujh ko mere haal mein rakh
burida-sar ko saja de fasil-e-neza par
darida jism ko phir arsa-e-qital mein rakh
ye dard teri amanat hai so ise tu sambhaal
ye mera dil hai ise qarya-e-malal mein rakh
tujhe ghurur hai main bhi bala ka ziddi hun
ai meri jaan tu is baat ko KHayal mein rakh
suna hai tujh ko bhi hai sher-o-shaeri se shaghaf
tu mere sher ko phir 'shahid' misal mein rakh
Ghazal
Ai zauq arz-e-hunar harf-e-etidal mein rakh
Shahid Kamal