اردو हिंदी
Ai zamane teri raftar se Dar lagta hai | Shaahi Shayari
ai zamane teri raftar se Dar lagta hai

Ghazal

Ai zamane teri raftar se Dar lagta hai

Roop Sagar

;

ai zamane teri raftar se Dar lagta hai
ab teri dosti se pyar se Dar lagta hai

kin hawaon ka asar tujh pe hua jata hai
tere badle hue kirdar se Dar lagta hai

dekh sakta nahin nakaam tujhe duniya mein
jit se apni teri haar se Dar lagta hai

dil ko aata nahin izhaar-e-mohabbat karna
aur mujh ko tere inkar se Dar lagta hai

zist se pae hain gham itne ki ab to hum ko
apni KHushiyon ke bhi gulzar se Dar lagta hai

is qadar shor hai in panw ki zanjiron ka
mujh ko pael ki bhi jhankar se Dar lagta hai

nukta-chini hai sab ahbab ka shewa 'sagar'
is liye apni hi guftar se Dar lagta hai