ai zalim tere jab se pale paDe
hamein apne jine ke lale paDe
phire DhunDte pa-barahna tujhe
yahan tak ki panw mein chhaale paDe
kiya hai ye tughiyan mere ashk ne
ki bahte hain duniya mein nale paDe
chala ghair par nain ye tir-e-nigah
hamari hi chhati pe bhaale paDe
hamein kyun ki wo shoKH baale na de
ki ab kan mein kan baale paDe
mera KHun-e-dil yun baha dasht mein
ki jangal mein lohu ke thaale paDe
'jahandar' gham hai kisi lala-ru ka
jo dil par tere dagh kale paDe
Ghazal
Ai zalim tere jab se pale paDe
Meerza Jawan Bakht Jahandar