اردو हिंदी
Ai yaqinon ke KHuda shahr-e-guman kis ka hai | Shaahi Shayari
ai yaqinon ke KHuda shahr-e-guman kis ka hai

Ghazal

Ai yaqinon ke KHuda shahr-e-guman kis ka hai

Meraj Faizabadi

;

ai yaqinon ke KHuda shahr-e-guman kis ka hai
nur tera hai charaghon mein dhuan kis ka hai

kya ye mausam tere qanun ke paband nahin
mausam-e-gul mein ye dastur-e-KHizan kis ka hai

rakh ke shahr mein ek ek se main puchhta hun
ye jo mahfuz hai ab tak ye makan kis ka hai

mere mathe pe to ye dagh nahin tha pahle
aaj aaine mein ubhra jo nishan kis ka hai

wahi tapta hua sahra wahi sukhe hue honT
faisla kaun kare aab-e-rawan kis ka hai

chand rishton ke khilaune hain jo hum khelte hain
warna sab jaante hain kaun yahan kis ka hai