ai yas mera ghar tera maskan to nahin hai 
dil hai ye tamannaon ka madfan to nahin hai 
kya baat hai gulzar hai kyun barq se mahfuz 
be-barg meri shaKH-e-nasheman to nahin hai 
han dida-e-tahqiq se ai zauq-e-safar dekh 
rahbar jise samjha hai wo rahzan to nahin hai 
taklif asiri ki shikayat na kar ai dil 
ye kunj-e-qafas kunj-e-nasheman to nahin hai 
aao ki tamannaon mein hai tab-e-nazara 
ye dil hai mera wadi-e-aiman to nahin hai 
chhu kar hi jise aatish-e-dozaKH hui ThanDi 
daman ye kisi rind ka daman to nahin hai 
manzur hai kuchh jaanch tere azm ki us ko 
dar-asl zamana tera dushman to nahin hai 
be-sai-e-amal KHak hai insan ko jina 
ye razm-e-gah-e-zist hai madfan to nahin hai 
sayyaad ijazat ki zara dekh to aaun 
jalta hai jo wo mera nasheman to nahin hai 
dekho to raha dasht-nawardi pe jo nazan 
wo 'arsh' rawan jaanib-e-gulshan to nahin hai
        Ghazal
Ai yas mera ghar tera maskan to nahin hai
Arsh Malsiyani

