اردو हिंदी
Ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua | Shaahi Shayari
ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua

Ghazal

Ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua

Haqeer

;

ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua
yan ho gai KHana-virani aur tera zarar kuchh bhi na hua

tha qasd ki un ko rokengi shab guzri inhin andeshon mein
par hae-re nakaami dil ki hangam-e-sahar kuchh bhi na hua

ehsan tera mujh par hota gar ruh ko karta tan se juda
jab jaan bachi furqat ki shab ai dard-e-jigar kuchh bhi na hua

ai kash wo baaten ki hotin jo wahshat-e-dil ko kam kartin
itna jo baka to ai naseh mujh ko to asar kuchh bhi na hua

ab chahiye aisi fikr tujhe jis se ki nazare ki Thahre
har waqt ke rone se hasil ai dida-e-tar kuchh bhi na hua

dil aur jigar jaan aur ye sar hum shauq se lae pas tere
qismat ka gila ab kis se karen manzur-e-nazar kuchh bhi na hua

ya us se jawab-e-KHat lana ya qasid itna kah dena
bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua

dhun wasl ki tujh par ghaalib hai tu aish-o-tarab ka talib hai
kya lutf 'haqir' is ulfat ka betab agar kuchh bhi na hua