اردو हिंदी
Ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu | Shaahi Shayari
ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu

Ghazal

Ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu

Wali Uzlat

;

ai yar mujh afsurada-e-hijran ko pahunch tu
ai rashk-e-masiha tan-e-be-jaan ko pahunch tu

fariyaad-kash ek bose ka hun tere labon se
ai surma misi ke meri afghan ko pahunch tu

gar aatish-e-dil nalon ki sarsar se na sulge
mat sard ho daman-e-bayaban ko pahunch to

bikhre hain sharar dil ke mere dud-e-fughan mein
apne hi sar-e-zulf-e-zar-afshan ko pahunch tu

shayad ki ho is baghi chaman mir ka manzur
shabnam ho ke ai ashk gulistan ko pahunch tu

gar chah hai sarsabzi-e-baKHton ki diwane
atfal ke pathraw ki baran ko pahunch tu

pur-zang hai aaina-e-dil hind se 'uzlat'
gar chahiye saf han to safahan ko pahunch tu