ai wasl kuchh yahan na hua kuchh nahin hua
us jism ki main jaan na hua kuchh nahin hua
tu aaj mere ghar mein jo mehman hai id hai
tu ghar ka mezban na hua kuchh nahin hua
kholi to hai zaban magar is ki kya bisat
main zahr ki dukan na hua kuchh nahin hua
kya ek karobar tha wo rabt-e-jism-o-jaan
koi bhi raegan na hua kuchh nahin hua
kitna jala hua hun bas ab kya bataun main
aalam dhuan dhuan na hua kuchh nahin hua
dekha tha jab ki pahle-pahal us ne aaina
us waqt main wahan na hua kuchh nahin hua
wo ek jamal jalwa-fishan hai zamin zamin
main ta-ba-asman na hua kuchh nahin hua
main ne bas ek nigah mein tai kar liya tujhe
tu rang-e-bekaran na hua kuchh nahin hua
gum ho ke jaan tu meri aaghosh-e-zat mein
be-nam-o-be-nishan na hua kuchh nahin hua
har koi darmiyan hai ai majra-farosh
main apne darmiyan na hua kuchh nahin hua
Ghazal
Ai wasl kuchh yahan na hua kuchh nahin hua
Jaun Eliya