ai suKHnawar tarah guman hun main
ya faqat harf-e-raegan hun main
aks jal bujh gae bujha chehra
aaine se uTha dhuan hun main
hai mayassar mata-e-tishna-labi
KHushk dariya ka pasban hun main
aag se bair dhup bhi hai adu
aur ek mom ka makan hun main
mushtarak hum mein hijraton ki thakan
titliyon ka mizaj-dan hun main
tajarbe ki ghaneri chhanw liye
ek kohna sa saeban hun main
kab miTa de mujhe hawa ki lakir
rah-rau ret par nishan hun main
kal mera wasf tha tariq-e-suluk
aaj be-nam be-nishan hun main
shahr mein harf-e-ashna hi nahin
faiz kya lafz be-karan hun main
jo haqiqat the wo gae 'sabir'
ek mauhum dastan hun main

Ghazal
Ai suKHnawar tarah guman hun main
Sabir Shah Sabir