ai subh-e-umid der kya hai
ab kitne diyon ka fasla hai
ab kitni hai der raushni mein
ab kitni shabon ka marhala hai
hum hijr ki raat ke musafir
is dasht se hum ko kya mila hai
wo KHwab to jal-bujhe hain sare
wo KHema to rakh ho chala hai
ab kaise charagh kya charaghan
jab sara wajud jal raha hai
bahar bhi wahi faza hai sari
indar bhi mere wahi KHala hai
ek dil hai aur itni qatl-gahen
jo rah chalo wo karbala hai
wo daur hai ye ki sunne wala
har lafz ko chhu ke dekhta hai
itne jo azab utar rahe hain
is shahr ko kis ki bad-dua hai
Ghazal
Ai subh-e-umid der kya hai
Razi Akhtar Shauq