ai sitamgar nahin dekha jata
zaKHm dil par nahin dekha jata
hum se zahid ko barabar apne
lab-e-kausar nahin dekha jata
dasht ki jis mein koi baat na ho
hum se wo ghar nahin dekha jata
hum ne dekha hi nahin jalwa-e-yar
kahen kyun-kar nahin dekha jata
dekhna shauq-e-shahadat mera
mujh se KHanjar nahin dekha jata
tur par dekhne jate hain 'kalim'
dil ke andar nahin dekha jata
Ghazal
Ai sitamgar nahin dekha jata
Mirza Mayal Dehlvi