ai shamma tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah
main ne tamam umr guzari hai is tarah
dil ke siwa koi na tha sarmaya ashk ka
hairan hun kaam aankhon ka jari hai kis tarah
unsur hai KHair o shar ka har ek shai mein yun nihan
har shamma-e-bazm nuri o nari hai jis tarah
bas yun samajh lo mujh ko ummid-e-sahar na thi
kya puchhte ho raat guzari hai kis tarah
us naqsh-e-mustaqil pe hai sharminda aaina
taswir un ki dil pe utari hai is tarah
'natiq' jalal mein bhi asar is qadar nahin
rob-e-jamal qalb pe tari hai jis tarah
Ghazal
Ai shamma tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah
Natiq Lakhnavi