ai sanam wasl ki tadbiron se kya hota hai
wahi hota hai jo manzur-e-KHuda hota hai
nahin bachta nahin bachta nahin bachta aashiq
puchhte kya ho shab-e-hijr mein kya hota hai
be-asar nale nahin aap ka Dar hai mujh ko
abhi kah dijiye phir dekhiye kya hota hai
kyun na tashbih use zulf se den aashiq-e-zar
waqai tul-e-shab-e-hijr bala hota hai
yun takabbur na karo hum bhi hain bande us ke
sajde but karte hain hami jo KHuda hota hai
'barq' uftada wo hun saltanat-e-alam mein
taj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-pa hota hai
Ghazal
Ai sanam wasl ki tadbiron se kya hota hai
Mirza Raza Barq