ai sanam tujh ko hum bhula na sake
dil se dagh-e-wafa miTa na sake
allah allah us aastan ki kashish
sar jhukaya to sar uTha na sake
miT gae shauq-e-did mein lekin
aap jalwa hamein dikha na sake
teri chahat mein dard wo paya
hum zamane mein chain pa na sake
de ke dil tum ko jaan bhi de di
phir bhi apna tumhein bana na sake
jab se nisbat hui tere dar se
hum kisi dar pe sar jhuka na sake
ishq mein ye ajab tamasha hai
un ko paya to KHud ko pa na sake
aisi badli hawa zamane ki
zaKHm sine ke muskura na sake
tum 'fana' ki lahad pe baad-e-fana
aa ke do phul bhi chaDha na sake
Ghazal
Ai sanam tujhko hum bhula na sake
Fana bulandshahri