ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai
usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai
tegh be-ab hai ne bazu-e-qatil kamzor
kuchh giran-jaani hai kuchh maut ne fursat di hai
is qadar kis ke liye ye jang-o-jadal ai gardun
na nishan mujh ko diya hai na tu naubat di hai
sanp ke kaTe ki lahren hain shab-o-roz aatin
kakul-e-yar ke saude ne aziyyat di hai
aai iksir ghani dil nahin rakhti aisa
KHaksari nahin di hai mujhe daulat di hai
shama ka apne fatila nahin kis raat jala
amal-e-hub ki bahut hum ne bhi dawat di hai
jism ko zer zamin bhi wahi pahuncha dega
ruh ko jis ne falak sair ki taqat di hai
furqat-e-yar mein ro ro ke basar karta hun
zindagani mujhe kya di hai musibat di hai
yaad-e-mahbub faramosh na howe ai dil
husn-e-niyyat ne mujhe ishq se neamat di hai
gosh paida kiye sunne ko tera zikr-e-jamal
dekhne ko tire, aankhon mein basarat di hai
lutf-e-dil-bastagi-e-ashiq-e-shaida ko na puchh
do jahan se is asiri ne faraghat di hai
kamar-e-yar ke mazmun ko bandho 'atish'
zulf-e-KHuban si rasa tum ko tabiat di hai
Ghazal
Ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai
Haidar Ali Aatish