اردو हिंदी
Ai sanam der na kar anjuman-ara ho ja | Shaahi Shayari
ai sanam der na kar anjuman-ara ho ja

Ghazal

Ai sanam der na kar anjuman-ara ho ja

Fana bulandshahri

;

ai sanam der na kar anjuman-ara ho ja
meri dam toDti nazron ka sahaara ho ja

apne daman mein chhupa le mujhe mahbub mere
meri bigDi hui qismat ka sitara ho ja

ishq sachcha hai to phir rang-e-dui Thik nahin
hum tere ho gae ab tu bhi hamara ho ja

mujh ko har waqt hai lazzat-e-didar-e-sanam
meri nazron ke liye aisa sahaara ho ja

meri chahat ka do-alam mein bharam rah jae
tu mujhe meri mohabbat se pyara ho ja

us ko pana hai to kashti se kinara kar le
Dub kar bahr-e-mohabbat ka kinara ho ja

hun 'fana' ishq mein tere tera kahlata hun
meri taqdir badal mera sahaara ho ja