ai sakhiyan main ne dekhya sang kar ke yar ka
pan na dekhya be-samajh hor sang-dil tujh sar ka
jiw lene jaanta hor dilbari ke tu kala
ghar mein hai lag aapna hor bhaarge parpar ka
jiw jal kahta hun main pan sun tun sangin hun niku
bol apas ki birah ki par bas mein bilkhanhaar ka
ghaw kari uchh na jaana jiw hor jam talkhali
yun to KHasiyat disya tujh ishq ki tarwar ka
til tere rakhte hain jaga tin lak payaade ki aaj
chak tere karte hain dawa chaar lak aswar ka
ishq mein kuchh adl achhuta to na achhuta be-dhaDak
dukh dilawar lashkari sar kaT sukh sardar ka
'bahriya' sar panw kyun karta haqiqat ka so bol
girna khaDta sar pe tere u majazi mar ka
Ghazal
Ai sakhiyan maine dekhya sang kar ke yar ka
Qazi Mahmud Behri