اردو हिंदी
Ai saba nikhat-e-gesu-e-muambar lana | Shaahi Shayari
ai saba nikhat-e-gesu-e-muambar lana

Ghazal

Ai saba nikhat-e-gesu-e-muambar lana

Varis Kirmani

;

ai saba nikhat-e-gesu-e-muambar lana
koi tohfa gul-o-nasrin se KHush-tar lana

shabnamistan-e-mohabbat ki hasin rahon se
KHunki-e-shabnam-o-nur-e-mah-o-aKHtar lana

jaan-ba-lab hain tere mushtaq sar-e-rah-e-hayat
dam-e-isa-o-mai-e-lal-o-gul-e-tar lana

ishq ho mast-o-ghazal-KHwan-o-surahi-bar-dosh
zindagi taza-o-sarshaar-o-muattar lana

dar-KHur-e-mahfil-o-shayan-e-KHarabaat-e-mughan
aatishin mutrib-o-be-bak nawa-gar lana

tujh ko andoh-e-asiran-e-qafas ki saugand
aarzuon ke hasin phul khila kar lana

kushtagan-e-sitam-e-daur-e-KHizan hain hum log
apne hamrah bahaaron ka payambar lana

is nae daur ke sheron mein taghazzul kam hai
meri uftad tabiat ka suKHnawar lana