ai salik intizar-e-haj mein kya tu hakka-bakka hai
baghole sa tu kar le tauf-e-dil pahlu mein makka hai
charagh-e-gul ko raushan kar diya aahon ke shoale se
hazaron darje bulbul KHam-parwanon se pakka hai
jo hai har sang mein pinhan so aatish lal se chamki
sabhi mein haq hai har aarif mein kya sewa jhamakka hai
gai nin bu-e-shir us lab se lekin dekh wo talat
wahi mahtab ka hai aab-o-afsurda ho chakka hai
ai rab irfan ke darpan ko na rowe jauhar-e-KHwahish
hawas ki mauj almas-e-safa-e-dil ko lakka hai
wo zulf-o-ru se jag hai kufr-o-iman ke taraddud mein
do dil karne kun ek aalam ke mera shoKH pakka hai
dil-e-bairagi-e-'uzlat' mein rakhta hai dam-e-hasti
kamar mein us miyan ke jaise saili ka mutakka hai
Ghazal
Ai salik intizar-e-haj mein kya tu hakka-bakka hai
Wali Uzlat