اردو हिंदी
Ai rasm-e-baghawat ke giraftar sipahi | Shaahi Shayari
ai rasm-e-baghawat ke giraftar sipahi

Ghazal

Ai rasm-e-baghawat ke giraftar sipahi

Komal Joya

;

ai rasm-e-baghawat ke giraftar sipahi
likkhi thi tere baKHt mein ye haar sipahi

us taj ke aur taKHt ke dushman hain hazaron
mamur hifazat pe hain do-chaar sipahi

ek tasht mein rakkhi hui farman-rawai
ek tasht mein hain dirham-o-dinar sipahi

malka hun mahal ki main mera hukm-e-mohabbat
auqat kahan teri ki inkar sipahi

kuchh waqt ki qurbat ke liye lauT raha hai
tanKHwah mein chhuTTi ka talabgar sipahi

zindan ki diwar pe likkhe rahe nauhe
zanjir paTaKHta raha bimar sipahi

KHat chum ke aankhon se lagate hue 'komal'
roya tha bahut TuT ke har bar sipahi