ai rashk-e-mahr koi bhi tujh sa hasin nahin
zohra nahin pari nahin mah-e-mubin nahin
tanha nahin hun qabr mein arman wasl kya
hamdam nahin rafiq nahin ham-nashin nahin
aa kar chaman mein aah-e-KHizan ne ye kya kiya
bela nahin gulab nahin ya samayn nahin
aisa koi nahin jo tere dard-e-hijr se
ghamgin nahin hazin nahin andohgin nahin
uryani-e-badan hai ajab muKHtasar libas
daman nahin hai jeb nahin aastin nahin
sharminda kya dahan-o-ruKH-o-zulf-e-yar se
ghuncha nahin gulab nahin mushk-chin nahin
baDh kar miThas mein lab-e-shirin yar se
misri nahin hai qand nahin angbin nahin
josh-e-junun mein ab tere bimar-e-ishq mein
danish nahin KHirad nahin ra-e-matin nahin
insan hai jahan mein wahi aadmi ki jo
zalim nahin haris nahin aib-bin nahin
zardar aur malak hain afsos hind mein
chandi nahin tala nahin durr-e-samin nahin
kyunkar kalam ho mera be-misl 'barq' mein
'urfi' nahin 'kamal' nahin 'bin-mubin' nahin
Ghazal
Ai rashk-e-mahr koi bhi tujh sa hasin nahin
Shyam Sunder Lal Barq