اردو हिंदी
Ai rah-e-hijr-e-nau-faroz dekh ki hum Thahar gae | Shaahi Shayari
ai rah-e-hijr-e-nau-faroz dekh ki hum Thahar gae

Ghazal

Ai rah-e-hijr-e-nau-faroz dekh ki hum Thahar gae

Kishwar Naheed

;

ai rah-e-hijr-e-nau-faroz dekh ki hum Thahar gae
ye bhi nahin ki zinda hain ye bhi nahin ki mar gae

KHwab talak rihai thi tere firaq-o-hijr se
aankh khuli to aaine tah mein kahin utar gae

tu bhi meri tarah raha dhyan uThae shahr ka
soe to chhanw so gai qafile kuch kar gae

tujh ko bahut qarib se dekh ke yun laga ki ab
KHema-e-jaan ukhaD gaya dasht-e-talab guzar gae

dil ki gawahi ke liye rasm-e-dua buri na thi
ranj-e-KHumar-e-be-samar DhunDne us ke ghar gae

hum hi the wo bala-kashan dar-o-rasan the jin ki jaan
hum hi the shab ke ham-safar hum hi na apne ghar gae

dil ko tere firaq ki aarzu yaad rah gai
din wo mohabbaton ke bhi misl-e-rah-e-safar gae

mere liye bhi KHwab the us ne rakhe hue kahin
shahr mein un ko DhunDne qasid-e-be-hunar gae