ai qalandar aa tasawwuf mein sanwar kar raqs kar
ishq ke sab KHarzaron se guzar kar raqs kar
aql ki wusat bahut hai ishq mein fursat hai kam
aql ki ayyariyon ko darguzar kar raqs kar
dar-ba-dar kyun DhunDhta phirta hai nadida sanam
apne dil ke aaine par ek nazar kar raqs kar
ye jahan ek mai-kada kam-zarf hai saqi tera
is KHarabe se pare sham-o-sahar kar raqs kar
rustam-o-dara sikandar mil gae sab KHak mein
ban ke sarmad zindagi apni basar kar raqs kar
is zamin par jism-e-KHaki zehn-o-dil ho arsh par
yun kabhi 'zakir' riyazat mein bikhar kar raqs kar
Ghazal
Ai qalandar aa tasawwuf mein sanwar kar raqs kar
Zakir Khan Zakir