ai nish-e-ishq tere KHaridar kya hue
thi jin ke dam se raunaq-e-bazar kya hue
bol ai hawa-e-sham wo bimar kya hue
monis tere rafiq tere yar kya hue
ai jurm-e-ishq tere gunahgar kya hue
ai dost tere hijr ke bimar kya hue
rasm-e-wafa ka zikr to ab zikr rah gaya
wo paikar-e-wafa wo wafadar kya hue
ai kam-shanas waqt tujhe yaad tak nahin
wo zaKHm-e-jaan-o-dil ke talabgar kya hue
kar-e-junun mein jin ke hue aam tazkire
fasl-e-junun bata wo KHud-azar kya hue
josh-o-nadim-o-faiz bhi baiThe hain haar ke
pahunche the jo junun mein sar-e-dar kya hue
zindan-e-tirgi mein muqayyad hain aaj bhi
paida hue the subh ke aasar kya hue
'wijdan' aashiqi mein ganwani thi jaan bhi
pyare wo tere taur wo atwar kya hue
Ghazal
Ai nish-e-ishq tere KHaridar kya hue
Ali Wijdan