ai nigar-e-gham-o-alam teri umr daraaz
tu ne baKHshe bahut aaram teri umr daraaz
shahr mein dasht mein sahra mein jahan bhi dekha
ab hai har samt mera nam teri umr daraaz
subh ne phir mere zaKHmon se ujala manga
ek zaKHm aur mere nam teri umr daraaz
mere tarik KHarabe mein tere dard ka nur
aaj aaya hai baDa kaam teri umr daraaz
koi manzil na koi rahguzar tera karam
koi aaghaz na anjam teri umr daraaz
chhoD kar phulon ki rut phul se chehron ko 'shoeb'
tujh ko viranon se kya kaam teri umr daraaz
Ghazal
Ai nigar-e-gham-o-alam teri umr daraaz
Shahid Ahmad Shoaib