اردو हिंदी
Ai nigar-e-gham-o-alam teri umr daraaz | Shaahi Shayari
ai nigar-e-gham-o-alam teri umr daraaz

Ghazal

Ai nigar-e-gham-o-alam teri umr daraaz

Shahid Ahmad Shoaib

;

ai nigar-e-gham-o-alam teri umr daraaz
tu ne baKHshe bahut aaram teri umr daraaz

shahr mein dasht mein sahra mein jahan bhi dekha
ab hai mashhur mera nam teri umr daraaz

surKH-ru ab bhi tu har kucha-o-bazar mein hai
apne sar hain sabhi ilzam teri umr daraaz

fasl-e-gul aai thi le le ke tera nam gai
tu kahan phirta tha na-kaam teri umr daraaz

subh ne phir mere zaKHmon se ujala manga
ek zaKHm aur mere nam teri umr daraaz

dil ke tarik KHarabe mein teri yaad ka nur
aaj aaya hai baDe kaam teri umr daraaz

chhoD kar phulon ki rut phul se chehron ko 'shoeb'
tujh ko virane se kya kaam teri umr daraaz