ai meri zat ke sukun aa ja
tham na jae kahin junun aa ja
raat se ek soch mein gum hun
kis bahane tujhe kahun aa ja
hath jis moD par chhuDaya tha
main wahin par hun sar nigun aa ja
yaad hai surKH phul ka tohfa?
ho chala wo bhi nil-gun aa ja
chand taron se kab talak aaKHir
teri baaten kiya karun aa ja
apni wahshat se KHauf aata hai
kab se viran hai andarun aa ja
is se pahle ki main aziyyat mein
apni aaankhon ko noch lun aa ja
dekh! main yaad kar rahi hun tujhe
phir main ye bhi na kar sakun aa ja
Ghazal
Ai meri zat ke sukun aa ja
Fariha Naqvi