ai meri jaan hamesha ho teri jaan ki KHair
nazuki daur-e-bala, husn ke saman ki KHair
raat din sham sahar pahar ghaDi pal saat
mangte jati hai hum ko teri aan aan ki KHair
mehndi choTi ho siwai ho chamak peTi ki
umr choTi ki baDi zulf-e-pareshan ki KHair
be-tarah bojh se jhumkon ke jhuke paDte hain
kijo allah tu un jhumkon ki aur kan ki KHair
pan khaya hai to is waqt bhi lazim hai yahi
ek bosa hamein dije lab-o-dandan ki KHair
aankh uTha dekhiye aur dekh ke hans bhi dije
apne kajal ki zakat aur misi-o-pan ki KHair
pahle jis aan tumhaari ne liya dil hum se
ab talak mangte hain dil se hum us aan ki KHair
kya ghazab nikle hai ban-Than ke wo kafir yaro
aaj hoti nazar aati nahin iman ki KHair
jitne mahbub pari-zad hain duniya mein 'nazir'
sab ke allah kare husn ki aur jaan ki KHair
Ghazal
Ai meri jaan hamesha ho teri jaan ki KHair
Nazeer Akbarabadi