ai meri jaan-e-arzu mane-e-iltifat kya
hoga na waqf-e-dil kabhi kaif-e-tabassumat kya
mast-e-nazar agar nahin saghar-e-dil mein baada-rez
bazm-e-nawazishat kya daur-e-tawajjohat kya
kab se hain rind muntazir chashm-e-karam pe hai nazar
shoKH nigah ke liye wajh-e-takallufat kya
DhunDti phirti hai nazar shahid-e-bazm-e-naz ko
us ko magar KHabar nahin kaif-e-tasawwuraat kya
husn-e-talab ye hai ki tu us se usi ko mang le
us ke siwa hayat kya maqsad-e-kaenat kya
apne hi dil ki bazm mein us ka jamal dekhiye
dida-e-shauq ke liye aur harim-e-zat kya
shauq-o-talab se 'taj' ab aalam-e-iztirab hai
ek zara se dil mein ye shorish-e-kaenat kya
Ghazal
Ai meri jaan-e-arzu mane-e-iltifat kya
Zahiir Ahmad Taaj