ai mere ghubar-e-sar tu hi to nahin tanha raegan to main bhi hun
mere har KHasare par mere ye muKHalif kya shadman to main bhi hun
dasht ye agar apni wusaton pe nazan hai mujh ko is se kya lena
zarra hi sahi lekin meri apni wusat hai be-karan to main bhi hun
dar-ba-dar bhaTakti hai dasht o shahr o sahra mein apna sar paTakti hai
ai hawa-e-awara teri hi tarah be-ghar be-aman to main bhi hun
kuch kar gae jaane kitne qafile jin ka kuchh nishan nahin milta
main bhi hun kamar-basta yani rah-raw-e-rah-e-raftagan to main bhi hun
tu jo ek shoala hai chob-e-KHushk hun main bhi apna haal yaksan hai
der hai bhaDakne ki phir to rakh hai tu bhi phir dhuan to main bhi hun
Ghazal
Ai mere ghubar-e-sar tu hi to nahin tanha raegan to main bhi hun
Aslam Mahmood