اردو हिंदी
Ai mere dil tujhe pata hai kya | Shaahi Shayari
ai mere dil tujhe pata hai kya

Ghazal

Ai mere dil tujhe pata hai kya

Khursheed Ahmad Malik

;

ai mere dil tujhe pata hai kya
wo tere gham se aashna hai kya

mujh mein matam ka shor kaisa hai
mere andar koi mera hai kya

sab se hans ke gale jo milta hai
shahr mein wo naya naya hai kya

zindagi dho ke rose pita hun
aur pine ko kuchh bacha hai kya

qissa-e-dil raqam karun kaise
ishq hai koi saneha hai kya

phal koi hath kyun nahin aata
qad mein mujh se shajar baDa hai kya

tujh mein uljha hua main rahta hun
tu bata mera masala hai kya

kyun mujhe DhunDhti hai purwai
mere zaKHmon se wasta hai kya

mujh ko jhuTa bata raha hai jo
mere andar ka aaina hai kya

kaun deta hai dastaken itni
gum-shuda koi hadisa hai kya

kaise KHurshid us ko badloge
zindagi koi qafiya hai kya