ai mere dil ki raushni to yunhi jagmagae ja
mere jahan-e-shauq par kaif ban ke chhae ja
main usi tarah se rahun mahw-e-nazzara-e-jamal
aankhon mein aankhen Dal kar tu yunhi muskurae ja
teri nazar ka hai KHumar kahte hain jis ko duKHt-e-raz
dil ki hawas ka wasta mast nazar pilae ja
mere tasawwuraat mein mere taKHaiyyulat mein
ai meri jaan-e-arzu jalwa-ba-jalwa aae ja
tujh se nigah milte hi dil se to hath dho chuke
ab hai faqat ye aarzu jaan se bhi miTae ja
Ghazal
Ai mere dil ki raushni to yunhi jagmagae ja
Muhiuddin Irfan