ai mehrban hai gar yahi surat nibah ki
baz aae dil lagane se tauba gunah ki
ulTe gile wo karte hain kyun tum ne chah ki
kya KHub dad di hai dil-e-dad-KHwah ki
qatil ki shakl dekh ke hangam-e-baz-purs
niyat badal gai mere ek ek gawah ki
meri tumhaari shakl hi kah degi roz-e-hashr
kuchh kaam guftugu ka na hajat gawah ki
ai shaiKH apne apne aqide ka farq hai
hurmat jo dair ki hai wahi KHanqah ki
Ghazal
Ai mehrban hai gar yahi surat nibah ki
Zaheer Dehlvi